Nagkesar 
(Kesar/Nagpushp/kanchan/Nagh/chanpeya/Nagkinjalk) 
 
Ras- Madhur ,tikta,kashay 
Vipak- katu 
Virya- ushna 
Gun- ruksha, laghu 
 
Pramukh karya -yah Raktagami hain 
 
Raktadhatu ashrit kapha ,pitta ka shaman karta hain 
 
Raktagat ushna ,tikshna, guno ka nash karta hain. 
 
i.e.raktaprasadak hain 
 
Kisi vrana(wound) se behete rakta ka stambhan karke vrana ko jald thik krata hain 
 
**Jo jo dravya pitta ka shaman karte hain wo kapha ko badhate hain 
Isme nagkesar exception hain 
Yah kapha or pitta dono ka shaman karta hain  
 
**Yah uttam aampachak hain* 
 
Man ka prinan karta hain 
Durgandh ka nash karta hain 
 
 
Nagkeshar churn ka vyadhi main 
Kaise upyog karte hain👉 
 
1)Mukhgat dah ,dhumak tatha raktapitta ka nash karta hain 
 
Amlapitta or grahani main honevala  
Hriddah ,kanthdah,karndah, 
Hastpadtaldah, netradah,trishna 
main nagkesar ka phant sasharkara 
De . 
 
(Nagkeshar+sharkara) 
 
 
Amlapitta main hone vala shul 
Parinamshul ( khane ke bad k shul) 
Urdhwagat raktapitta (kan , nak se behene vala rkta) 
Usme nagkesar ka kashay banaye 
 
Churn k upyog kre👉 
 
Pittatisar 
Raktatisar 
Raktaj pravahika 
Adhograktapitta 
 
**Raktarsh main-nagkesar+navanit 
 
Best result👆use 125mg with other formulations 
 
Mutrakrichra ,mutradah ,mutramarggat raktapitta ka shaman karata hain 
 
Pittaj jwar ,visarp ho ya grishma main trishna ho isme nagkeshar ka phant dete hain 
 
**Note the points 
 
Reference-vd phadake (dravyagunshashtra pratham pushp)
		
